Memories
Memories (By Telly_News)
Jhonka hawa ka aaj bhi
Zulfein udaata hoga na
Tera dupatta aaj bhi tere
Sar se sarakata hoga na
Baalon mein tere aaj bhi
Phool koi sajta hoga na
Thandi hawaayein raaton mein tujhko
Thapkiyan deti hongi na
Chaand ki thandak khwaabon mein tujhko
Leke to jaati hogi na
Suraj ki kirnein subah ko teri
Neendein udaati hogi na
Mere khayalon mein sanam
Khud se hi baatein karti hogi na
Main dekhta hoon chhup chhup ke tumko
Mehsoos karti hogi na
Jhonka hawa ka aaj bhi
Zulfein udaata hoga na
Kaagaj pe meri tasveer jaisi
Kuchh to banaati hogi na
Ulat palat ke dekh ke usko
Jee bhar ke hansti hogi na
Hanste hanste aankhein tumhaari
Bhar bhar aati hongi na
Mujhko dhakaa tha dhoop mein jis se
Woh aanchal bhigoti hogi na
Savan ki rimjhim mera tarana
Yaad dilaati honi na
Ek ek meri baatein tumko
Yaad to aati hogi na
Yaad to aati hogi na
Yaad to aati hogi na
Aapne Yaad Dilaya To Mujhe Yaad Aaya (By Telly_News)
(Sonu Nigam)
Aapne yaad dilaya to mujhe yaad aaya
Aapne yaad dilaya to mujhe yaad aaya
Ke mere dil pe pada tha koi gham ka saya
Aapne yaad dilaya
Main bhi kya cheez hoon khaya tha kabhi teer koi
Dard ab ja ke utha chot lage deir huyi
Tumko humdard jo paya to mujhe yaad aaya
Ke mere dil pe pada tha koi gham ka saya
Aapne yaad dilaya
Main zameen par hoon na samjha
Na parakhna chaha
Aasman par yeh kadam jhoom ke rakhna chaha
Aaj jo sar ko jhukaya to mujhe yaad aaya
Ke mere dil pe pada tha koi gham ka saya
Aapne yaad dilaya
(Anuradha Paudwal)
Maine bhi soch liya sath nibhane ke liye
Door tak aaungi main tumko manane ke liye
Dil ne ehsaas dilaya to mujhe yaad aaya
Ke mere dil pe pada tha koi gham ka saya
Aapne yaad dilaya to mujhe yaad aaya
Aapne yaad dilaya to mujhe yaad aaya